|
Jholi toh hamne bhi rab ke aage badi si failayi thi, Pataa nahin kyon unhon ne usey nazar andaaz kar diya Aur jab nigaah-e-karam nasseb hua toh saari khushiyan bant chuki thi,
Zaahir hai ki hamaare hissey mein sirf gam hi aayey Shayad rab ko phir apni galati ka ehsas hua, Apne bantware par rashq hua Kisi aur ki zaraa si khushi udhaar lekar Hamari jholi mein kuch waqt ke liye dal di
Waise toh hum apne gam mein khush thhey Is udhar ki khushi ne usmein bhi khalal daal dee Do boond aansoo jise apna samajhthey thhety Woh bhi ab paraye ho chaley thhey Ab aalam yeh hai ki na apna gum apna rahaa Aur paraayee khushiyon ne hamey aur ruswaa kar diya
Ab yeh pataa nahin ki yeh udhaar ke kahkahe Kab tak saath dene ka bahaana karenge Aei khudaa yeh kaisi dua hai jo sazaa ho gayee Jis se hansna naamumkin toh ho hi gaya hai Ab ashq bahaana bhi dushwaar ho chalaa hai
|